nashat-e-dard ka dariya utarne wala hai main is se aur wo mujh se ubharne wala hai main us ki narm nigahi se ho gaya mayus wo meri sada-dili se mukarne wala hai wo mere ishq mein diwana-war phirne lage ye moajiza to faqat farz karne wala hai mere khayal ki parwaz se jo waqif hai wo aashna hi mere par katarne wala hai abhi abhi mere kuchh dost aane wale hain main sochta tha har ek zakhm bharne wala hai fasil-e-jism pe kuchh naqsh chhod jaega jo hadisa mere dil par guzarne wala hai bas is khayal mein bigda raha main barson tak ab ek din mein koi kya sudharne wala hai wo ban ke zist mere pas aa gaya hai 'amar' ye waqt mere liye ain marne wala hai