ek bewafa ko dard ka darman bana liya hum ne to aah kufr ko iman bana liya dil ki khalish-pasandiyan hain ki allah ki panah tir-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan bana liya mujh ko khabar nahin mere dil ko khabar nahin kis ki nazar ne banda-e-ehsan bana liya mahsus kar ke hum ne mohabbat ka har alam khwab-e-subuk ko khwab-e-pareshan bana liya dast-e-junun ki uqda-kushai to dekhiye daman ko be-niyaz gareban bana liya taskin-e-dil ki hum ne bhi parwah chhod di har mauj-e-gham ko hasil-e-tufan bana liya jab un ka nam aa gaya hum muztarib hue aahon ko apni zist ka unwan bana liya hum ne to apne dil mein wo gham ho ki ho alam jo koi aa gaya use mehman bana liya aaina dekhne ki zarurat na thi koi apne ko khud hi aap ne hairan bana liya ek be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar 'bahzad' hum ne khud ko pareshan bana liya