nashat-e-duniya ko KHwab likhna masarraton ko sarab likhna

nashat-e-duniya ko khwab likhna masarraton ko sarab likhna
jo ho sake to gham-o-alam ki hikayat-e-pur-kitab likhna

main sarguzisht-e-hayat apni sahifa-e-dil pe likh raha hun
tu ahd-e-rafta ke mausamon ko nae dinon ka azab likhna

main apni tahzib ke hawale sipurd-e-qirtas kar chuka hun
tere muqaddar mein kya nahin hai koi darakhshanda bab likhna

hain meri aankhon mein khwab tere isi liye to hain zakhm gahre
kisi ke bas mein nahin hai shayad hikayat-e-iztirab likhna

main apni chashm-e-mushahida se jo dekhta hun wahi likhunga
khilaf-e-shan-e-sukhanwari hai qasida-e-ab-o-tab likhna

ye dasht-e-imkan-e-arzu hai yahin khayaban-e-justuju hai
yahan ke mausam ki sar-kashi ko alamat-e-inqalab likhna

dayar-e-ehsas ke makinon ke sar pe taj-e-sukhanwari hai
to aise zinda dilon ko 'akhtar' hamesha izzat-maab likhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close