shaghl hai mera safar mein rahna

shaghl hai mera safar mein rahna
meri aadat nahin ghar mein rahna

kitna aasan samajhte hain log
sohbat-e-aina-gar mein rahna

log aaenge chale jaenge
tu magar meri nazar mein rahna

apne andar bhi ana paida kar
chhod ghairon ke asar mein rahna

qurbaten itni subuk hain jaise
khushbuon ka gul-e-tar mein rahna

hai alamat-e-hunar mein shamil
band aankhon ka safar mein rahna

main kisi dil mein rahunga 'akhtar'
kya kisi rahguzar mein rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close