nashat-e-zindagi mein dub kar aansu nikalte hain suna hai ab tere gham ke nae pahlu nikalte hain mohabbat ka chaman hai aao sair-e-sarsari kar len yahan se le ke sab tute hue bazu nikalte hain junun le ke chala hai pa-ba-jaulan us ke kuche se liye aaghosh mein hum nikhat-e-gesu nikalte hain teri basti mein diwanon ko ruswai hi ras aai ye apna chaak daman le ke ab har su nikalte hain wahi aariz wahi kakul wahi kafir-ada aankhen magar har lamha phir bhi kuchh nae jadu nikalte hain