sachchaiyon ko bar-sar-e-paikar chhod kar hum aa gae hain dasht mein ghar-bar chhod kar aankhon mein jagte hue khwabon ka kya karen ninden chali gain hamein bedar chhod kar hum be-khudi mein kaun si manzil pe aa gae thahra hua hai waqt bhi raftar chhod kar sahil kise batae yahan apne dil ka dard maujen chali gain use har bar chhod kar lazim nahin ki aql ki har baat thik ho ab man lo jo dil kahe takrar chhod kar is ke siwa ab aur to pahchan kuchh nahin jaun kahan main apna ye kirdar chhod kar shayad isi malal mein wo dhup dhal gai saya chala gaya kahin diwar chhod kar ab wadi-e-khayal mein tanha khada hun main jaane kahan gae mujhe ashaar chhod kar