nashsha-e-shauq-e-rang mein tujh se judai ki gai ek lakir khun ki beach mein khinch di gai thi jo kabhi sar-e-sukhan meri wo khamushi gai hae kuhan-e-sinan ki baat hae wo baat hi gai shauq ki ek umr mein kaise badal sakega dil nabz-e-junun hi to thi shahr mein dubti gai us ki gali se uth ke main aan pada tha apne ghar ek gali ki baat thi aur gali gali gai us ki ummid naz ka mujh se ye man tha ki aap umr guzar dijiye umr guzar di gai daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam tere yahan riayat-e-haal nahin rakhi gai 'jaun' junub-e-zard ke khak-basar ye dukh utha mauj-e-shumal-e-sabz-jaan aai thi aur chali gai kya wo guman nahin raha han wo guman nahin raha kya wo umid bhi gai han wo umid bhi gai