thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap ai shaikh yahan kaun hai main chur hun ya aap diwanon ke sar ho gai kiya zulf-e-dota aap wo ja ke gale apne laga lae bula aap hans hans ke mujhe aap abas kos rahe hain ro ro ke mere waste mangenge dua aap udte bhi agar hum to qafas le ke na udte sayyaad qafas su-e-chaman ud ke chala aap jo uth nahin sakte the gae uth ke lahad mein baithe rahen ab ghar mein liye uzr-e-hina aap jate nahin hum mast kabhi uth ke haram se aati hai yahan ud ke mai-e-hosh-ruba aap kyun phir gain kambakht ki aankhen dam-e-akhir rakhte the bahut ghair se ummid-e-wafa aap aawaz meri baithi hai ai hazrat-e-zahid kyun bahr-e-azan aaj dabaate hain gala aap halka sa ghilaf ek tha sayyaad qafas par thi aur na kuchh rok ruki mujh se saba aap hum dil mein utarenge ye kahti hain nigahen aa jaen kisi tarah lab-e-baam zara aap qabu ka tumhaare bhi nahin josh-e-jawani be-chhede hue tutte hain band-e-qaba aap mohtat 'riyaz' aap jawani mein bahut hain piri mein bhi lutenge jawani ka maza aap