nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada us jism ki khushbu hai gulabon se ziyaada ek qatra-e-shabnam ko taraste hain gulistan ye fasl to mumsik hai sarabon se ziyaada padhna hai to insan ko padhne ka hunar sikh har chehre pe likkha hai kitabon se ziyaada pahuncha hun wahin par ki chala tha main jahan se hasti ka safar bhi nahin khwabon se ziyaada ye bikhri hui zindagi yakja nahin hoti kam hone pe bhi hum hain kharabon se ziyaada 'farigh' kabhi ghatti hi nahin dard ki daulat hoti hai hamesha ye hisabon se ziyaada