rang-dar-rang hijabaat uthane honge be-mahaba hamein sab jalwe dikhane honge jin ko tarikh ki nazren bhi kabhi chhu na saken batn-e-giti mein kai aise zamane honge aaj tak shahon ki tahwil mein jo aa na sake saikdon aise pur-asrar khazane honge pusht-ha-pusht se jo dast-nigar rahte hain an-ginat aise bhi mazlum gharane honge jin mein ghurbat ke asiron ko jagah mil na saki wo falak-bos mahallat girane honge jin mein dahqanon ki hasrat ka jhalakta hai lahu hum ko wo gulshan-e-shadab jalane honge nae andaz se chhedi hai ghazal 'farigh' ne ab har ek lab pe baghawat ke tarane honge