nashtar si dil mein chubhti hui baat le chalen aae hain to khulus ki saughat le chalen viraniyon ke ghar mein mera dam hi ghut na jae aa ai khayal-e-yar tujhe sath le chalen jab raushni thi chalta tha saya bhi sath sath ab hai andheri raat kise sath le chalen jis mein umid-o-yas fareb-e-nazar rahi is haft-khwan-e-gham ki riwayat le chalen sham-e-umid jis mein farozan na ho saki ab us ki bazm-e-naz mein wo raat le chalen kuchh bekason ke ghar jale kuchh be-dayar hain un ke huzur ashkon ki barsat le chalen rang-e-shafaq mein khun-e-shahidan hai jalwa-gar apne azim mulk ki saughat le chalen apne nagar mein bas yahi kirchen hain har taraf kuchh gauhar-e-talafi-e-mafat le chalen