nashte par jise aazad kiya hai main ne dopahar ke liye irshad kiya hai main ne ai mere dil teri hasti nazar aati thi kahan tu kahan tha tujhe ijad kiya hai main ne phul hi phul hain ta-hadd-e-nazar phul hi phul is kharabe ke liye yaad kiya hai main ne sare asbab wahan rakkhe hain darwaze ke pas teri jagir ko aabaad kiya hai main ne khas mauqon pe jhalak apni dikha sakte hain jin ko sanjida-e-fariyaad kiya hai main ne aaj wo bhul sudhaarun to sudhaarun kaise us ko rukhsat ba-dil-e-shad kiya hai main ne dilli walon ki zaban mein jise dil kahte hain surkh angar tha barbaad kiya hai main ne