ye to sach hai ki TuTe phuTe hain

ye to sach hai ki tute phute hain
mere bachpan ke ye khilaune hain

tapte sahra mein tez barish ke
main ne kitne hi khwab dekhe hain

kaun kis ki barahnagi pe hanse
sab hi zer-e-libas nange hain

wo kabutar the kitne garm-o-gudaz
ab bhi hathon mein lams chipke hain

in ke pani se kya bujhegi pyas
ye ghade to bahut hi kachche hain

zehn ka ek waraq bhi sada nahin
jaane kya kya sawal likkhe hain

pad rahe hain furaat par pahre
mere hathon mein khali kuze hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close