nasib apne yahan tum se bahra-war na hue

nasib apne yahan tum se bahra-war na hue
tamam umr kabhi markaz-e-nazar na hue

tamam umr hamari kuchh is tarah guzri
tumhaari yaad se ek lamha be-khabar na hue

wo kaun se hain marahil rah-e-mohabbat mein
junun-e-ishq-o-mohabbat se bhi jo sar na hue

tumhaari yaadon ke naghmon ki gunj ke sadqe
udas dil ke hamare kabhi guhar na hue

hamare khwab salamat tasawwuraat ba-khair
nazar se dur hamari wo raat bhar na hue

pahunchte le ke use manzil-e-mohabbat par
nasib aise zamane ko rahbar na hue

jo zabt-e-gham ke bhi qabil na ho sake 'akhtar'
wahi to ashk ke qatre hue guhar na hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close