nasib-e-ishq dil-e-be-qarar bhi to nahin bahut dinon se tera intizar bhi to nahin talafi-e-sitam-e-rozgar kaun kare tu ham-sukhan bhi nahin raaz-dar bhi to nahin zamana pursish-e-gham bhi kare to kya hasil ki tera gham gham-e-lail-o-nihaar bhi to nahin teri nigah-e-taghaful ko kaun samjhae ki apne dil pe mujhe ikhtiyar bhi to nahin tu hi bata ki teri khamushi ko kya samjhun teri nigah se kuchh aashkar bhi to nahin wafa nahin na sahi rasm-o-rah kya kam hai teri nazar ka magar e'tibar bhi to nahin agarche dil teri manzil na ban saka ai dost magar charagh-e-sar-e-rahguzar bhi to nahin bahut fasurda hai dil kaun is ko bahlae udas bhi to nahin be-qarar bhi to nahin tu hi bata tere be-khanuman kidhar jaen ki rah mein shajar saya-dar bhi to nahin falak ne phenk diya barg-e-gul ki chhanw se dur wahan pade hain jahan khar-zar bhi to nahin jo zindagi hai to bas tere dard-mandon ki ye jabr bhi to nahin ikhtiyar bhi to nahin wafa zariya-e-izhaar-e-gham sahi 'nasir' ye karobar koi karobar bhi to nahin