sharife ke darakhton mein chhupa ghar dekh leta hun main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun udhar us par kya hai ye kabhi socha nahin main ne magar main roz khidki se samundar dekh leta hun sadak pe chalte phirte daudte logon se ukta kar kisi chhat par maze mein baithe bandar dekh leta hun ye sach hai apni qismat koi kaise dekh sakta hai magar main tash ke patte utha kar dekh leta hun gali-kuchon mein chaurahon pe ya bas ki qataron mein main us chup-chap si ladki ko aksar dekh leta hun chala jaunga jaise khud ko tanha chhod kar 'alwi' main apne aap ko raaton mein uth kar dekh leta hun