nasib-e-ishq masarrat kabhi nahin hoti ye bazm wo hai jahan raushni nahin hoti jabin-e-ishq ke sajde qubul hote hain mizaj-e-husn mein jab barhami nahin hoti samajh chuke hain asiri ko hum payam-e-ajal ki zindagi-e-qafas zindagi nahin hoti mere baghair unhen kaun jaan sakta hai wo yun guzarte hain aawaz bhi nahin hoti tera sitam bhi to hai ek pursish-e-khamosh teri nigah kabhi ajnabi nahin hoti badhe chalo yahi waraftagi ki manzil hai rah-e-talab mein kabhi sham hi nahin hoti dil ek aatish-e-khamosh hi sahi lekin tumhaari yaad mein koi kami nahin hoti meri nazar mein yaqinan wo nang-e-gulshan hai amin-e-raaz-e-chaman jo kali nahin hoti mili hai rah-e-talab mein 'mushir' sirf mujhe wo zindagi jo kabhi zindagi nahin hoti