ab is qadar bhi badal jaega khabar nahin thi fana se dur nikal jaega khabar nahin thi mere badan ki hararat utarne wala meri tapish se pighal jaega khabar nahin thi wo ibtida-e-mohabbat ke pahle lamhe ko bana ke aakhiri pal jaega khabar nahin thi badhegi luqma-e-dil se bhi aage us ki hawas ye nafs tan ko nigal jaega khabar nahin thi gila tha aatish-e-nok-e-qalam se kaghaz ko magar siyahi se jal jaega khabar nahin thi samajh rahe the jise naqsh-bar-sarab kabhi wo mauj ban ke uchhal jaega khabar nahin thi bahut tha saya-e-abr-e-ghubar-e-dasht magar zara si der mein dhal jaega khabar nahin thi ye sang-e-khwab 'shafaq' aankh ke pasine par kisi bhi waqt phisal jaega khabar nahin thi