nasiba jag uttha aur muqaddar ban gaya apna jahan diwar hai us ki wahin ghar ban gaya apna na jaane dhup ne apni zaban mein kya kah us se shajar ke jism se saya nikal kar ban gaya apna hamari aankh se nindon ka rishta todne wale koi tujh se siwa khush-rang paikar ban gaya apna hamara sar salamat hi raha sang-e-hawadis mein jo patthar bhi idhar aaya wo patthar ban gaya apna safar mein sath apne dhup dariya aur samundar the hamari khush-nasibi thi samundar ban gaya apna hawa barish samundar ka kinara aur hum donon kuchh aise kho gae manzar mein manzar ban gaya apna yahi barish ka mausam tha hawaen tez thin us din bahut bhiga hua tha wo simat kar ban gaya apna 'matin' ek umr guzri hai sukhan ko aab dene mein tabhi almas-lahja sab se hat kar ban gaya apna