nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi kisi ki aakhiri hichki kisi ki dil-lagi hogi tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun nazar aakhir nazar hai be-irada uth gai hogi maza aa jaega mahshar mein kuchh sunne sunane ka zaban hogi hamari aur kahani aap ki hogi yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai khudai aap se hogi na hum se bandagi hogi tajjub kya lagi jo aag ai 'simab' sine mein hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi