ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din kahan pe ja ke rukenge ye bhagte hue din ghurub hote gae raat ke andheron mein nawed-e-amn ke suraj ko dhundte hue din na jaane kaun khala ke ye istiare hain tumhaare hijr ki galiyon mein gunjte hue din na aap chalte na dete hain rasta hum ko thaki thaki si ye shamen ye unghte hue din phir aaj kaise kategi pahad jaisi raat guzar gaya hai yahi baat sochte hue din tamam umr mere sath sath chalte rahe tumhin ko dhundte tum ko pukarte hue din har ek raat jo tamir phir se hoti hai katega phir wahi diwar chatte hue din mere qarib se guzre hain bar-ha 'amjad' kisi ke wasl ke wade ko dekhte hue din