nasim-e-subh yun le kar tera paigham aati hai pari jaise koi hathon mein le kar jam aati hai wo manzar bhi kabhi dekha hai ahl-e-karwan tum ne umand kar jab kisi bichhde hue par sham aati hai yahan ab na-tawani se qadam bhi uth nahin sakte idhar mahfil se saqi ki sala-e-am aati hai kisi ka khun-e-dil khinch kar tapak jata hai aankhon se kisi ki aankh mein khinch kar mai-e-gulfam aati hai muqaddar ka sitara-gar na ho rakhshanda ai 'wasif' na himmat sath deti hai na hikmat kaam aati hai