gul ne khushbu ko taj diya na raha khud se khud ko kiya juda na raha raat dekhe safar ke khwab bahut pau phati jab to hausla na raha qafila us ke dam-qadam se tha chal diya wo to qafila na raha rabt us ka zaman se kya rahta jab zamin hi se silsila na raha tark kar khamushi ka maslak sun ho gaya jo bhi be-sada na raha umr bhar us ne bewafai ki umr se bhi wo ba-wafa na raha aankh kholi to duriyan thin bahut aankh michi to fasla na raha kis ki khushbu ne bhar diya tha use us ke andar koi khala na raha