natija kyunkar achchha ho na ho jab tak amal achchha nahin boya hai tukhm achchha to kab paoge phal achchha karo mat aaj-kal hazrat burai ko abhi chhodo nahin jo kaam achchha wo na aaj achchha na kal achchha bure ko tag bhi karne aur tawaqqo nek-nami ki dimagh apna sanwaro tum nahin hai ye khalal achchha jo ho jae khata koi ki aakhir aadmi ho tum to jitna jald mumkin ho karo us ka badal achchha kare jo panw bad-rahi to sona us ka behtar hai na ho jis hath se neki to aisa hath shal achchha