nikhat-e-turra-e-mushkin jo saba lai hai koi aawara hua hai koi saudai hai be-khudi se hai yahan be-khabari ka aalam khud-numai ko wahan shaghl-e-khud-arai hai apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin ghaur se dekh agar aankh mein binai hai hai mujhe kashmakash-e-sai-o-talab se nafrat dil mera tark-e-tamanna ka tamannai hai juz dil-e-pak na paya haram-e-khas kahin dair-o-kaba mein abas nasiya-farsai hai naz ki jalwagari ke liye manzar hai niyaz na-tawani meri ham-rang-e-tawanai hai jab tabiat hi na hazir ho to be-sud hai fikr sher-goi to kahan qafiya-paimai hai munh pe laun to ye kam-zarf bahak jaen abhi baat jo pir-e-kharabaat ne samjhai hai khud munadi o munada hun na ghaibat na huzur aalam-e-ghaib se yun dil mein nida aai hai dil ye kahta hai ki hasil ki hai tahsil abas na tamanna koi shai hai na tamannai hai