nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha mujh par ye zulm bar-e-digar bhi usi ka tha dekha mujhe to tark-e-talluq ke bawajud wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha aankhen kushad-o-bast se badnam ho gain suraj usi ka khwab-e-sahar bhi usi ka tha khanjar-dar-astin hi mila jab kabhi mila wo tegh khinchta to ye sar bhi usi ka tha nishtar chubhe hue the rag-e-jaan ke aas-pas wo chaaragar tha aur mujhe dar bhi usi ka tha mahfil mein kal 'faraaz' hi shayad tha lab-kusha maqtal mein aaj kasa-e-sar bhi usi ka tha