unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte hazar kuchh ho magar ek wafa nahin karte bura hun main jo kisi ki buraiyon mein nahin bhale ho tum jo kisi ka bhala nahin karte wo aaenge meri taqrib-e-marg mein tauba kabhi jo rasm-e-ayaadat ada nahin karte jahan gae yahi dekha ki log marte hain yahi suna ki wo wada wafa nahin karte kisi ke kam hain kisi ke bahut magar zahid gunah karne ko kya parsa nahin karte jo in hasinon pe marte hain jite-ji 'muztar' wo intizar-e-payam-e-qaza nahin karte