naujawan log pajame ko bura kahte hain paint phat jae to qismat ka likha kahte hain apne ashaar mein juma ko juma kahte hain aise ustad ko fakhrushshuara kahte hain nazm ko gift rubai ko ata kahte hain sher wo khud nahin kahte hain chacha kahte hain i-m-f ko samajhte hain maishat ka ilaj log al-kuhl ko khansi ki dawa kahte hain ye to chalti nahin p-m ki ijazat ke baghair is ko aiwan-e-sadarat ki hawa kahte hain jaane kab is mein hamein aag lagani pad jae hum siyasat ke janaze ko chita kahte hain jab se bachchon ko pasand aai hain hindi filmen mujh ko abba nahin kahte wo pita kahte hain meri bari pe hukumat hi badal jati hai ab wazarat ko ghubare ki hawa kahte hain load-shedding ki shikayat pe dolatti mare log bijli ke minister ko gadha kahte hain bhuk takhliq ka talent badha deti hai pet khali ho to hum sher naya kahte hain