naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai gham ke sahne mein bhi insan ko khushi hoti hai pyar jab pyar ki manzil pe pahunch jata hai hanste chehron ke bhi aankhon mein nami hoti hai pas rahte hain to dil mahw-e-tarab rahta hai dur hote hain to mahsus kami hoti hai jab bhi hota hai guman un se kahin milne ka dil ke armanon mein ek dhum machi hoti hai nama-bar se na kahun baat to phir faeda kya aur kah dun to teri parda-dari hoti hai jab bhi to mere tasawwur mein makin hota hai dil ki duniya tere jalwon se saji hoti hai kaj-adai ho sitam ho ki hon altaf-o-karam apne mahbub ki har chiz bhali hoti hai kya bataun main tere jism ki rangini ko jaise saghar mein mai-e-nab dhali hoti hai un ke aane se sukun aane laga hai 'afzal' aaj kuchh dard mein mahsus kami hoti hai