naw kaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre us se pahle ki ye pani mere sar se guzre phir samaat ko ata kar jaras-e-gul ki sada qafila phir koi is rahguzar se guzre koi dastak na sada koi tamanna na talab hum ki darwesh the yun bhi tere dar se guzre ghairat-e-ishq to kahti hai ki ab aankh na khol is ke baad ab na koi aur idhar se guzre main to chahun wo sar-e-dasht thahar hi jae par wo sawan ki ghata jaisa hai barse guzre habs ki rut mein koi taza hawa ka jhonka baad-o-baran ke khuda mere bhi ghar se guzre mujh ko mahfuz rakha hai mere chhote qad ne jitne patthar idhar aae mere sar se guzre