jab juda pedon se kat kar dali dali ho gai ek tere jangal ki majid god khali ho gai koi mausam ho ba-har-surat hawa chalti rahi badh gaya itna dhuan har shakl kali ho gai mere chehre par likhi thin surkhiyan akhbar ki jo bhi surat samne aai sawali ho gai hain wahi alfaz lekin wo maani hi nahin baat sulh-o-ashti ki aaj gali ho gai teri taswiron pe bhi apna nahin hai ikhtiyar fasla itna badha surat khayali ho gai khun ka khatt-e-istawa 'majid' tassub mein ghira pyar ki baad-e-saba baad-e-shumali ho gai