naw KHasta bhi na thi mauj mein dariya bhi na tha

naw khasta bhi na thi mauj mein dariya bhi na tha
par utarta tha magar tujh pe bharosa bhi na tha

zindagi hath na de pai mere hathon mein
sath jaana bhi na tha hath chhudana bhi na tha

jin pe ek umr chala tha unhi raston pe kahin
wapas aaya to mera naqsh-e-kaf-e-pa bhi na tha

gharq-e-duniya ke liye dast-e-dua kya uthte
koi is ghar mein dua mangne wala bhi na tha

har koi mera kharidar nazar aaya mujhe
chaak par main ne abhi khud ko ubhaara bhi na tha

phailta jata hai har sans rag o pai mein 'najib'
ek sahra jo abhi rah mein aaya bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close