mutthiyon mein ret bhar li hai bataun kis tarah raat din aab-e-rawan se munh chhupaun kis tarah raqs karte hain bagule mere tere darmiyan ret par dariyaon ka naqsha banaun kis tarah wo udhar us par ke manzar bulate hain mujhe raushni ke shahr se pichha chhudaun kis tarah yaad sab kuchh hai magar kuchh bhi nazar aata nahin putliyon mein tere chehre ko chhupaun kis tarah jab yahan is shahr mein sab kuchh khizan-asar hai be-dar-o-diwar ka ek ghar banaun kis tarah