naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai nakhuda par kabhi maujon pe nazar hoti hai dur hai manzil-e-maqsud safar hai darpesh sone walon ko jaga do ki sahar hoti hai aur badh jati hai kuchh quwwat-e-ehsas-e-amal jitni dushwar meri rah-guzar hoti hai ghar ke chhutne ka asar aalam-e-ghurbat ka khayal kaifiyat dil ki ajab waqt-e-safar hoti hai kya guzarti hai gulon par koi un se puchhe nam gulshan ka hai kanton pe basar hoti hai azm kahta hai mera main bhi to dekhun aakhir kaun si hai wo muhim jo nahin sar hoti hai kaun kahta hai gharib-ul-watani mein 'saqi' sath le-de ke faqat gard-e-safar hoti hai