nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul zamin pe gul hain faza mein ghubar-e-nikhat-e-gul ye shahr-e-gul-badnan sair-gah-e-husn-e-tamam kahin hai nahr kahin aabshaar-e-nikhat-e-gul nasim-e-subh bhi leti hai yan pe izn-e-khiram hai ye maqam maqam-e-qarar-e-nikhat-e-gul guman ye hai kahin diwar-e-rang tut na jae hisar-e-rang pe hai wo fishaar-e-nikhat-e-gul yahan ke murghan-e-khush-ilhan-o-mehr-e-zar-afshan hain nur-o-naghma yahan ham-kanar-e-nikhat-o-gul yahan ki qaus-e-quzah ko mila hai izn-e-dawam bahaar-e-rang dalil-e-bahaar-e-nikhat-e-gul ufuq pe nur ka dariya hai rang ki kashti hai intizar mein kis ke nigar-e-nikhat-e-gul kise khabar hai ki 'baqar' fida-e-husn-e-bahaar yahin kahin hai gharib-e-dayar-e-nikhat-e-gul