khak o khun ki wusaton se ba-khabar karti hui ek nazar imkan-hazar-imkan safar karti hui ek ajab bechain manzar aankh mein dhalta hua ek khalish saffak si sine mein ghar karti hui ek kitab-e-sad-hunar tashrih-e-zail ka shikar ek mohmal baat jadu ka asar karti hui jism aur ek nim-poshida hawas-amadgi aankh aur sair-e-libas-e-mukhtasar karti hui tishnagi ka zahr sine ko siyah karta hua ek talab apne nashe ko tez-tar karti hui wo nigah apne liye hai sad-hisab-e-arzu aur mujhe begana-e-naf-o-zarar karti hui