nawah-e-wusat-e-maidan mein hairani bahut hai dilon mein is kharabi se pareshani bahut hai kahan se hai kahan tak hai khabar is ki nahin milti ye duniya apne phailaw mein an-jaani bahut hai badi mushkil se ye jaana ki hijr-e-yar mein rahna bahut mushkil hai par aakhir mein aasani bahut hai basar jitni hui bekar o be-manzil zamane mein mujhe is zindagani par pashemani bahut hai nikal aate hain raste khud-ba-khud jab kuchh na hota ho ki mushkil mein hamein khwabon ki arzani bahut hai bahut raunaq hai bazaron mein galiyon aur mohallon mein par is raunaq se shahr-e-dil mein virani bahut hai