rind-e-kharab-haal ko zahid na chhed tu tujh ko parai kya padi apni nabed tu nakhun khuda na de tujhe ai panja-e-junun dega tamam aql ke bakhiye udhed tu is said-e-muztarib ko tahammul se zabh kar daman o aastin na lahu mein lathed tu chhutta hai kaun mar ke giraftar-e-dam-e-zulf turbat pe us ki jal ka paega ped tu ai zahid-e-do-rang na pir aap ko bana manind-e-subh-e-kazib abhi hai adhed tu ye tangnae-dahr nahin manzil-e-faragh ghafil na panw hirs ke phaila suked tu ho qata nakhl-e-ulfat agar phir bhi sabz ho kya ho jo phenke jad hi se us ko ukhed tu jo soti bhid bais-e-ghaugha jagae phir darwaza ghar ka us sag-e-duniya pe bhed tu umr-e-rawan ka tausan-e-chaalak is liye tujh ko diya ki jald kare yan se ed tu aawargi se ku-e-mohabbat ki hath utha ai 'zauq' ye utha na sakega khakhed tu