nawak-zani nigah ki ai jaan-e-jaan hai hech jab tir hi na par hua to kaman hai hech dair-o-haram bhi hech hain aur hech bagh-o-ragh koi jagah ho be tere ai la-makan hai hech firdaus hum ko saya-e-daman-e-yar hai duniya ki asl kuchh nahin bagh-e-jinan hai hech kuchh maut ka na gham hai na kuchh rahat-e-hayat kuche mein us ke mujh ko bahaar-o-khizan hai hech chaaragari karega jo wo hai mizaj-dan dard-e-darun ka ru-ba-ru us ke bayan hai hech ho ja ke ku-e-yar mein ai murgh-e-jaan muqim bagh-o-bahaar hech hai aur aashiyan hai hech qatil ke pas jaunga main khud hi sar-ba-kaf maqtal mein us ka aana pae imtihan hai hech kya takiya us pe kijiye aalam hai be-sabaat hasti abas hayat abas jism-o-jaan hai hech tauhid-e-ishq mein mujhe donon hain ek se marg-o-hayat hech hai sud-o-ziyan hai hech jo us ki khubiyon ka sana-khwan na ho kabhi wo hech aur us ke dahan mein zaban hai hech hun mahw-e-did aankh uthaun main kis taraf dekhun main kis ko juz tere husn-e-butan hai hech juz zikr-e-yar aur kahani nahin pasand sab qisse mujh ko hech hain aur qissa-khwan hai hech nalan jo hain jahan mein gham-e-ishq se tere naqus un ko hech hai bang-e-azan hai hech kya asl tegh ki tere abru ke samne tir-e-mizha ke samne nok-e-sinan hai hech hain band aankhen 'barq' ki dil mein hai teri yaad kya dekhe sar utha ke use sab jahan hai hech