wasl ki shab bhi ada-e-rasm-e-hirman mein raha subh tak main iltimas-e-shauq-e-pinhan mein raha mar gae lakhon shahid-e-naz kuchh parwa nahin wo tamasha-e-hilal-e-id-e-qurban mein raha kaam apna kar chuki bimari-e-ishq-e-butan main fareb-e-nuskha-o-tasir-e-darman mein raha wah re pas-e-wafa allah ri sharm-e-arzu har nafas hamrahi-e-umr-e-gurezan mein raha kya padhe ashaar 'taslim'-e-jigar-afgar ne shor-e-tahsin har taraf bazm-e-sukhan-dan mein raha