nawed-e-amn hai bedad-e-dost jaan ke liye rahi na tarz-e-sitam koi aasman ke liye bala se gar mizha-e-yar tishna-e-khun hai rakhun kuchh apni bhi mizhgan-e-khun fishan ke liye wo zinda hum hain ki hain ru-shanas-e-khalq ai khizr na tum ki chor bane umr-e-jawedan ke liye raha bala mein bhi main mubtala-e-afat-e-rashk bala-e-jaan hai ada teri ek jahan ke liye falak na dur rakh us se mujhe ki main hi nahin daraaz-dasti-e-qatil ke imtihan ke liye misal ye meri koshish ki hai ki murgh-e-asir kare qafas mein faraham khas aashiyan ke liye gada samajh ke wo chup tha meri jo shamat aai utha aur uth ke qadam main ne pasban ke liye ba-qadr-e-shauq nahin zarf-e-tangna-e-ghazal kuchh aur chahiye wusat mere bayan ke liye diya hai khalq ko bhi ta use nazar na lage bana hai aish tajammul husain khan ke liye zaban pe bar-e-khudaya ye kis ka nam aaya ki mere nutq ne bose meri zaban ke liye nasir-e-daulat-o-din aur muin-e-millat-o-mulk bana hai charkh-e-barin jis ke aastan ke liye zamana ahd mein us ke hai mahw-e-araish banenge aur sitare ab aasman ke liye waraq tamam hua aur madh baqi hai safina chahiye is bahr-e-be-karan ke liye ada-e-khas se 'ghaalib' hua hai nukta-sara sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye