jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gae aksar hamare sath ke bimar mar gae hota nahin hai us lab-e-nau-khat pe koi sabz isa o khizr kya sabhi yak-bar mar gae yun kanon-kan gul ne na jaana chaman mein aah sar ko patak ke hum pas-e-diwar mar gae sad karwan wafa hai koi puchhta nahin goya mata-e-dil ke kharidar mar gae majnun na dasht mein hai na farhad koh mein tha jin se lutf-e-zindagi we yar mar gae gar zindagi yahi hai jo karte hain hum asir to we hi ji gae jo giraftar mar gae afsos we shahid ki jo qatl-gah mein lagte hi us ke hath ki talwar mar gae tujh se do-chaar hone ki hasrat ke mubtila jab ji hue wabaal to na-chaar mar gae ghabra na 'mir' ishq mein us sahal-e-zist par jab bas chala na kuchh to mere yar mar gae