naya mai-kade mein nizam aa gaya uthin bandishen izn-e-am aa gaya nazar mein wo kaif-e-dawam aa gaya ki goya kisi ka payam aa gaya mohabbat mein wo bhi maqam aa gaya ki mizhgan pe khun lab pe nam aa gaya sar-e-rah kante bichhata hai shauq junun ko bhi kuchh ehtimam aa gaya na ilzam un par na aghyar par ye dil aap hi zer-e-dam aa gaya badal hi gaya bazm-e-ishrat ka rang mera naghma-e-dard kaam aa gaya kidhar se ye sanki mahakti hawa kidhar se wo nazuk-khiram aa gaya tamasha nahin tha mera iztirab koi kyun ye baala-e-baam aa gaya bayan ho raha tha fasana mera magar bar-bar un ka nam aa gaya kabhi samne kuchh khamoshi rahi kabhi dur se kuchh payam aa gaya jo dar-o-rasan se bhi rukta nahin saron mein wo sauda-e-kham aa gaya wo 'zaidi' wahi rind-e-atish-nawa wo zinda dilon ka imam aa gaya