lafz to hon lab-e-izhaar na rahne pae ab samaat pe koi bar na rahne pae kis tarah ke hain makin jin ki tag-o-dau hai yahi dar to baqi rahen diwar na rahne pae is mein bhi pahlu-e-taskin nikal aata hai ek hi surat-e-azar na rahne pae zehn-ta-zehn mahakta hi rahe zakhm-e-hunar fasl-e-harf o lab-e-izhaar na rahne pae ab ke mausam mein ye meyar-e-junun thahra hai sar salamat rahen dastar na rahne pae koi darman ki hawa chikh rahi hai 'mohsin' nakhl-e-hasti pe koi bar na rahne pae