naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun nai us bazm se main zindagani le ke aaya hun kuchh apni na-tawani kuchh tera pas-e-nazakat tha nigahon mein mohabbat ki kahani le ke aaya hun tere jalwe ke nazzare ko khali hath kya aata lutane ko bahaar-e-naujawani le ke aaya hun labon par mohr-e-khamoshi hai aankhen dabdabai hain asar-andaz apni be-zabani le ke aaya hun khuda-malum qasid kya sunae dil dhadakta hai ye kahta hai ki paigham-e-zabani le ke aaya hun mizha par garm garm aansu labon par sard sard aahen fasana dard ka gham ki kahani le ke aaya hun sarishk-e-khun dil-e-pur-dagh afsurda tamannaen azal se ye mataa-e-zindagani le ke aaya hun maqam-e-khizr tha ya mai-kada tha kya kahun kya tha jahan se main hayat-e-jawedani le ke aaya hun 'jalil' abr-e-siyah kya jhumta hai sabza-zaron par ye kahta hai ki aab-e-zindagani le ke aaya hun