wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha dil ko magar yaqin kisi par hua na tha hum ko to ehtiyat-e-gham-e-dil aziz thi kuchh is liye bhi kam-nigahi ka gila na tha dast-e-khayal-e-yar se phute shafaq ke rang naqsh-e-qadam bhi rang-e-hina ke siwa na tha dhunda use bahut ki bulaya tha jis ne pas jalwa magar kahin bhi sada ke siwa na tha kuchh is qadar thi garmi-e-bazar-e-arzu dil jo kharidta tha use dekhta na tha kaise karenge zikr-e-habib-e-jafa-pasand jab nam doston mein bhi lena rawa na tha kuchh yun hi zard zard si 'nahid' aaj thi kuchh odhni ka rang bhi khilta hua na tha