naza ki sakhti badhi un ko pasheman dekh kar maut mushkil ho gai jine ka saman dekh kar wo kabhi jab iltifat-e-naz se lete hain kaam kanp jata hun main apne dil ke arman dekh kar karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahaar mera daman dekh kar mera gareban dekh kar wo na agla baghban hai ab na agle ham-safir yaad karta hun qafas ko main gulistan dekh kar allah allah mujh sa aasi darkhur-e-rahmat hua rashk-e-zahid to bhi hai ye qadr-e-isyan dekh kar ai but-e-kafir maaz-allah ye tera shabab koi kafir hi rahega ab musalman dekh kar in buton ne mujh ko be-khud kis qadar dhoke diye sidha-sada jaan kar mard-e-musalman dekh kar