jo karte the ulTa-sidha karte the

jo karte the ulta-sidha karte the
hum patthar pe dariya phenka karte the

is jangal ke pedon se main waqif hun
gir jate the jis par saya karte the

main basti mein titli pakda karta tha
baqi sare log to jhagda karte the

kuchh bachche sailabon mein bah jate hain
hum palkon se dariya roka karte the

jao koi tar-war nahin girta
hum hi chhat se jugnu phenka karte the

sab ruhen zehnon par kapda rakhti thin
hum bas jismon ka hi parda karte the

roz mushahid rahte the hum sham talak
phir suraj ka matha chuma karte the

main us aag mein jism jala kar aaya tha
jis mein sare aankhen seka karte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close