naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota is tarah ashk main aankhon mein na laya hota mere khurshid na hota ye mera roz-e-siyah tu ne gar zulf mein mukhda na chhupaya hota bagh-e-jannat mein bhi kya khub guzarti meri wan bhi sar par jo teri zulf ka saya hota naseha chaak-e-gareban ke silane se husul chaak aankhon ka meri tu ne silaya hota phul padta na 'khaliq' aatish-e-gul se us par aashiyan hum ne tuk uncha jo banaya hota