ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya hum aap ke na aae jab tak ki tu na aaya saqi ne jam-e-mai to shab pai-ba-pai diya par niyyat bhari na apni jab tak subu na aaya kotah hai nihayat dast-e-dua hamara daman asar ka ja kar ek bar chhu na aaya aashiq ko tere kal se thi jaan-kani ki haalat sab dekhne ko aae allah tu na aaya phunka bhi tur-o-wadi baz ai 'khaliq' lekin apni shararaton se wo shoala-khu na aaya